Kya aapka Blog Blogspot (Blogger.com) par hai or aap chate hai uske WordPress ki trha Comment Box aaye.. jisme use r apna Naam, EMail or Website URL daal kar comment kar paye.. to aapko uska solution abhi milne wala hai.
Blogger Blog me WordPress Comment box kaise lagaye or uske liya kya karna hai chaliye jate hai.
Blogger blog jo comment box lagane ke liye IntenseDebate website ka use karna hai.
IntenseDebate Automattic ka hi tool hai, ye wahi company hai jisne WordPress, Gravatar, Akismet jese popular platform or Tool provide karaye hai.
IntenseDebate Comment se hame kya fayde hai:
- Aasani se Install kar sakte hai.
- Comment ko manage karna bhut aasan hai.
- Facebook or Twitter se bhi comment kar sakte hai.
- RSS Subscribe kar sakte hai user, jisse new post ki ki jankari unko email par mil jaye.
- Comment Subscribe kar sakte hai, jisse agar koi new comment ya reply aata hai to uski jankari mail par mil jaye.
- Comment Like or Dislike ki button bhi hai.
- Reputation Point bhi milte hai comment karne wale ko, agar wo regular comment karte hai ..
- CSS Code se uska design bhi change kar sakte hai.
- Visitor aasani se spam comment ki report kar sakte hai.
- Inke aalawa bhi hai…
Jitne bhi faide hai uske aalawa agar kuch nuksan ki baat kare to wo ye ki jitne bhi comment profile me link hai wo default no follow nahi hai.. jisse aasani se user backlink bana sakte hai.. par aese me spam comment se nuksan ho sakta hai.. iske aalawa ek or ye ki comment box thoda slow load hota hai agar compare kare dusre comment system se..
Blogger me WordPress Comment Box kaise Lagaye
IntenseDebate Comment ko blogger blog me lagana bhut hi aasan hai, simple kuch hi steps me koi bhi isko laga sakta hai.
Step 1: Blog Template ki XML File ko Download kare
sabse phele to blogger blog me abhi jo template hai, usko download karna hai.. q ki aage jarurat padti hai.
- Sabse phele Blogger Deshboard me jaye > Template
- Backup/Restore par click kare jo upar corner me hai.
- Popup open hone ke baad Download full Template par click karke XML File download karle.
Step 2: Create an IntenseDebate Account
IntenseDebate Account banane ke liye intensedebate.com/signup par jaye, or Signup kare.
aaye hue form ko fill karke email Verify kare.. Form me aapko I want to install IntenseDebate on my blog or website ko tik karna hai.
Step 3: Blogger Blog me WordPress Comment Install kare
Ab sabse phele IntenseDebate Install Page par jaye, uske baad apne Blog ka URL dale.
Note: agar aapka domain (hindimehelp.blogspot.com) ki trha hai to automatic iske baad 3rd step par aa jayege. par agar coustom domain hai to aapko platform select karna hoga jaha par aapka blog hai 2nd step me.
- Comment Old post par bhi change karna chate hai ya sirf New post par wo select kare.. yaha iss baat ka dhiyan rakhe, agar aapki purani post par comment hoge or aapne uspar bhi comment ko change kiya to purane sabhi comment chale jayege.
- Ab jo hamne Template ki XML file Download ki hai wo upload karna hai.
- Last me Upload file and Continue ki button par click kare.
Read: Blogger Template ko Change/Upload Kaise Karte Hai
Template upload karne ke baad next page aayega, jisme hamare blogger template ka new code hoga.. jisme automatic edit karke purane comment system ko hata kar WordPress comment ki trha comment system add ho gaya hai.
Template ke New Code ko copy kare.
- Ab wapas Blogger Dashboard > Template me jaye
- Edit HTML button par click kare
- Ab jo Template ka purana code hai usko hata kar New Template code paste kare.
- Code dalne ke baad template save kar dijiye.
To lijiye WordPress comment ki trha Blogger me Comment box lag chuka hai, jo aap apne blog ki kisi bhi post ko open karke dekh sakte hai.
Blogger Blog me Comment Box or comment kaise dikhte hai wo aap niche di hui image me dekh sakte hai.
*Agar aap chate hai ki IntenseDebate comment ko hata kar wapas blogger ke comment hi use kare.. to simple jo phele wala template download kiya tha aapne usko wapas upload karde, jisme IntenseDebate ka code naa ho.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai Blogger Blog me WordPress Comment system kaise lagate hai.. to agar aapko abhi tak aesa lagta tha ki mere blog par aesa q nahi ki visitor unki website ki link or naam daal kar comment kar paye, to uska solution aapke samne hai
Agar aapko kahi koi paresani aati hai to aap comment karke puch sakte hai, jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule..
Happy Commenting …!
The post WordPress Comment Box Blogspot Blog me Kaise Add kare appeared first on Hindi Me Help.
from Hindi Me Help https://ift.tt/2OaisIk
Ashok Saraf Biography in hindi
ReplyDeletegrabber
ReplyDeletegrabber
grabber
grabber
grabber